Registered Section 8 Non-Profit  •  CIN: U88900RJ2026NPL112935  •  Jaipur, Rajasthan
📚  Gyaan Daan

Shiksha Seva

Vidya daan sabse bada daan — zaruratmand bachchon ko kitabein, fees, uniform aur sanskar. Ek bachcha padhega, ek parivaar badhega.

HomeHamari Seva › Shiksha Seva
Yeh Seva Kyon

Sa Vidya Ya Vimuktaye

Vidya hi vah daan hai jo dene se badhta hai. Aarthik tangi ke kaaran koi bachcha school na chhode — yahi is seva ka sankalp hai.

Hum bastiyon ke bachchon ko school kit, kitabein, uniform aur fees sahyog dete hain — saath hi Gita-Ramayan par aadharit sanskar kakshayen bhi chalate hain, taaki shiksha ke saath sanskar bhi mile.

Hum Kya Karte Hain

  • School kit, kitabein aur uniform vitaran
  • Zaruratmand bachchon ki fees sponsorship
  • Weekly sanskar kaksha — Gita, Ramayan, naitik shiksha
  • Har sponsor ko bachche ki progress report
350+Bachchon tak shiksha seva
12Basti kendra
48+Sanskar kakshayen / saal
Daan Ke Prakaar

Apni Shraddha Anusaar Seva Chunein

Har category mein aapka daan seedhe usi seva mein lagta hai — photo-proof aur receipt ke saath. Koi bhi rashi, apni shraddha se, yahan se bhi de sakte hain.

Sabse Lokpriya स्कूल किट
🎒

School Kit Seva

Bag, copiyan, pen-pencil, geometry box aur water bottle — ek bachche ka poora school kit.

₹451/ 1 bachcha
Daan Karein
पुस्तक दान
📚

Pustak Seva

Course ki kitabein aur Sanatan sahitya (Gita, Ramayan bal-sanskaran) — gyaan ka sabse sundar daan.

₹751/ 1 bachche ka set
Daan Karein
फीस सहयोग
🏫

Fees Sponsorship

Ek zaruratmand bachche ki 3 mahine ki school fees — shiksha kabhi na ruke.

₹2,100/ 3 mahine
Saal bhar ki fees: ₹8,400 — poora saal godh lein
Daan Karein
यूनिफॉर्म
👕

Uniform Seva

Do jodi uniform, joote aur moze — taaki koi bachcha sharm se school na chhode.

₹1,100/ 1 bachcha
Daan Karein
संस्कार कक्षा
📿

Sanskar Kaksha

Gita shlok, Ramayan katha aur naitik shiksha ki weekly kaksha — 25 bachchon ka ek batch.

₹1,500/ 1 mahina · 1 batch
Daan Karein
बच्चा गोद लें
🎓

Ek Bachcha Godh Lein

Ek bachche ki poori padhai ki maasik zimmedari — fees, kitabein, kit. Progress report har quarter.

₹1,001/ mahina
Daan Karein
🤝
Samagri / Material Daan bhi swikarya hai

Purani kitabein, school bags, stationery ya computer/tablet — humein sampark karein ya WhatsApp par suchna dein, hamari team pickup ka samanvay karegi.

Seva Ka Safar

Aapke Daan Se Seva Tak — 4 Kadam

1
Daan Karein

Category chunein aur online / UPI se daan karein — turant receipt.

2
Seva Nirdharit

48 ghante mein aapka daan seva ke liye allot ho jaata hai.

3
Seva Sampann

Hamari team seva poori karti hai — 7 din ke andar.

4
Photo-Proof

Aapki seva ki photo/video WhatsApp aur email par milti hai.

Aksar Poochhe Jaane Waale Prashn

FAQ

Bachchon ka chayan kaise hota hai?
Basti survey ke aadhar par — sabse zaruratmand parivaron ke bachchon ko pehle. Poori prakriya paardarshi hai.
Kya main sponsored bachche se mil sakta hoon?
Haan, sanskar kaksha ke dauran ya vitaran karyakram mein aap bachchon se mil sakte hain.
Progress report mein kya hota hai?
School attendance, pariksha parinaam aur kaksha ki photo — har quarter WhatsApp/email par.
Purani kitabein daan kar sakte hain?
Bilkul — achhi sthiti ki course books aur bal-sahitya sahar swikar hai.

Ek Bachche Ki Kalam Ban Jaaiye

₹451 ka school kit kisi bachche ki poori duniya badal sakta hai.

🙏 Daan KareinAnya Seva Dekhein